bāshinde haqīqat meñ haiñ ham mulk-e-baqā ke
kuchh roz se mehmān haiñ is dār-e-fanā ke
dil ḳhuuñ ho shab-e-vasl bhī hasrat meñ na kyūñ-kar
dekheñ na vo ḳhalvat meñ bhī jab aañkh uThā ke
farmā.iye ham se thī yahī shart-e-mohabbat
ḳhuub aap ne rusvā kiyā ġhairoñ meñ bulā ke
kūche meñ na aa.e koī maiñ jaan gayā huuñ
farmāte ho mujh se ye raqīboñ ko sunā ke
dil haath se kho jaatā hai kis taur se zāhid
to aap zarā dekh le us kūche meñ jā ke
ḳhāk-e-dar-e-jānāñ hai libās-e-tan-e-uryāñ
āshiq tire mohtāj nahīñ aur qabā ke
ham sar ke bal ā.eñge jo bulvāoge sāhab
gar ho na yaqīñ dekh lo tum chāho bulā ke
ho sāya-e-dīvār tumhārā jo mayassar
phir kyā kareñ farmā.iye saa.e ko humā ke
dil khol ke kar lījiye ai hazrat-e-dil sair
ham phir ke na phir ā.eñge is bazm se jā ke
tan ḳhaak meñ mil jā.egā ik roz hamārā
jī tan se nikal jā.egā mānind havā ke