Mardan Ali Khan Rana

gai jo tifli to phir aalam-e-shabab aaya

Mardan Ali Khan Rana

Moradabad, Uttar pradesh, India

-1879
ga.ī jo tiflī to phir ālam-e-shabāb aayā
gayā shabāb to ab mausam-e-ḳhizāb aayā
maiñ shauq-e-vasl meñ kyā rail par shitāb aayā
ki sub.h hind meñ thā shaam pañj-āb aayā
kaTā thā roz-e-musībat ḳhudā ḳhudā kar ke
ye raat aa.ī ki sar pe mire azaab aayā
kahāñ hai dil ko abas DhūñDhte ho pahlū meñ
tumhāre kūche meñ muddat se us ko daab aayā
kisī kī teġh-e-taġhāful kā maiñ vo kushta huuñ
na jaagā neze pe sau baar āftāb aayā
nazar paḌī na mirī ro.ab-e-husn se ruḳh par
agarche sāmne mere vo be-naqāb aayā
hamesha sūrat-e-anjum khulī rahīñ āñkheñ
firāq-e-yār meñ kis roz mujh ko ḳhvāb aayā
huā yaqīñ ki zamīñ par hai aaj chāñd-gahan
vo maah chehre pe jab Daal kar naqāb aayā
hue jo dīda-e-girya se apne ashk ravāñ
gumāñ huā ki barastā huā sahāb aayā
banā tasavvur-e-lailā ba-sūrat-e-tasvīr
kabhī jo qais kī āñkhoñ meñ shab ko ḳhvāb aayā
vo zūd-ranj hai us ko na chheḌnā 'ra.anā'
maloge haath agar bar-sar-e-itāb aayā
Top Urdushayar.com