jis ko sab kahte haiñ samundar hai
qatra-e-ashk-e-dīda-e-tar hai
abrū-e-yār dil kā ḳhanjar hai
mizha-e-yār nok-e-nashtar hai
chashm-e-āshiq se do bahe dariyā
ek tasnīm ek kausar hai
ḳhāna-e-dil hai ġhair se ḳhālī
shauq se aao aapkā ghar hai
qata.ī aaj faisla hogā
terī talvār hai mirā sar hai
ab to dhūnī ramā ke baiThe haiñ
dar-e-jānāñ pe apnā bistar hai
tama.a har ik kā dīn-o-īmāñ hai
jis ko dekho vo banda-e-zar hai
ḳhuub dil khol kar jafā kar lo
banda muddat se is kā ḳhūgar hai
baam par jalva-gar hai vo shāyad
kū-e-jānāñ meñ shor-e-mahshar hai
kartā aalam ko aah se barham
lek 'ra.anā' ko yaar kā Dar hai