kar chukā qaid se jis vaqt ki āzād mujhe
haath maltā hī rahā dekh ke sayyād mujhe
umr bhar yuuñ to kabhī lī bhī na karvaT pas-e-marg
haif rah-rah ke kiyā karte haiñ ab yaad mujhe
hukm darbāñ ko hai zinhār na aane paa.e
ġhair ke sāmne karte haiñ magar yaad mujhe
bāġhbāñ gulshan-e-ālam kā maiñ vo bulbul huuñ
tā.er-e-sidra kahā kartā hai ustād mujhe
ham-safīroñ ko mirā haal khulegā pas-e-marg
dekhnā dil meñ kareñge vo bahut yaad mujhe
sahn-e-gulshan meñ mire phuul kareñge gulchīñ
ro.egā suunā qafas dekh ke sayyād mujhe
rāh-e-ulfat meñ mulāqāt huī kis kis se
dasht meñ qais milā koh meñ farhād mujhe
ġhaib se hote haiñ ilqā mire dil meñ mazmūn
dekh faizān suḳhan kā hai ḳhudā-dād mujhe
sabz baaġh aatā hai duniyā kā nazar jab 'ra.anā'
yaad aatī hai bahut hasrat-e-shaddād mujhe