Mardan Ali Khan Rana

wo masiha qabr par aata raha

Mardan Ali Khan Rana

Moradabad, Uttar pradesh, India

-1879
vo masīhā qabr par aatā rahā
maiñ mue par roz jī jaatā rahā
zindagī kī ham ne mar-mar ke basar
vo but-e-tarsā jo tarsātā rahā
vaah baḳht-e-nā-rasā dekhā tujhe
nāma-bar se ḳhat kahīñ jaatā rahā
raah takte takte āḳhir jaañ ga.ī
vo taġhāful-kesh bas aatā rahā
dil to dene ko diyā par ham-nashīñ
haath maiñ mal mal ke pachhtātā rahā
dekh us ko ho gayā maiñ be-ḳhabar
dil yakāyak haath se jaatā rahā
kyā kahūñ kis tarah furqat meñ jiyā
ḳhūn-e-dil piitā to ġham khātā rahā
raat bhar us barq-vash kī yaad meñ
sail-e-ashk āñkhoñ se barsātā rahā
DhūñDhtā phirtā huuñ us ko jā-ba-jā
dil ḳhudā jaane kidhar jaatā rahā
us masīhā kī umīd-e-vasl meñ
shaam jiitā sub.h mar jaatā rahā
ishq kā 'ra.anā' maraz hai lā-davā
kab sunā tū ne ki vo jaatā rahā
Top Urdushayar.com