rakhā hai bazm meñ us ne charāġh kar ke mujhe
abhī to sunñā hai afsāne raat bhar ke mujhe
ye baat to mire ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ bhī na thī
satā.eñge dar-o-dīvār mere ghar ke mujhe
maiñ chāhtā thā kisī peḌ kā ghanā saaya
duā.eñ dhuup ne bhejī haiñ sahn bhar ke mujhe
vo merā haath to chhoḌeñ ki maiñ qadam moḌūñ
bulā rahe haiñ na.e rāste safar ke mujhe
charāġh ro.e hai jagmag kiyā thā jin kā nasīb
vo log bhuul ga.e tāqche meñ dhar ke mujhe
maiñ apne aap meñ vahshat kā ik tamāshā thā
havā.eñ phuul banātī rahīñ katar ke mujhe
tamām azmateñ mashkūk ho ga.iiñ jaise
vo uthlā-pan milā gahrā.ī meñ utar ke mujhe
diloñ ke beach na dīvār hai na sarhad hai
dikhā.ī dete haiñ sab fāsle nazar ke mujhe