Zafar Sahbai

jab adhure chand ki parchhain pani par paDi

Zafar Sahbai

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1946
jab adhūre chāñd kī parchhā.īñ paanī par paḌī
raushnī ik nā-mukammal sī kahānī par paḌī
dhuup ne kachche phaloñ meñ dard kā ras bhar diyā
ishq kī uftād nā-puḳhta javānī par paḌī
gard ḳhāmoshī kī sab mere dahan se dhul ga.ī
is qadar bārish suḳhan kī be-zabānī par paḌī
us ne apne qasr se kab jhāñk kar dekhā hameñ
kab nazar us kī hamārī be-makānī par paḌī
asl sone par thā jitnā bhī mulamma.a jal gayā
dhuup us shiddat kī alfāz-o-ma.ānī par paḌī
tark kiije ab diloñ meñ narm goshoñ kī talāsh
be-hisī kī ḳhaak harf-e-mehrbānī par paḌī
zaḳhm-e-dil us kī tavāzo.a meñ namakdāñ ban gayā
ye musībat bhī hamārī mezbānī par paḌī
apne hāthoñ TūTne kā tajraba to ho gayā
choT be-shak saḳht thī jo ḳhush-gumānī par paḌī
Top Urdushayar.com