Zafar Sahbai

sabze se sab dasht bhare hain tal bhare hain pani se

Zafar Sahbai

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1946
sabze se sab dasht bhare haiñ taal bhare haiñ paanī se
mere andar ḳhālī-pan hai kis kī be-īmānī se
ab ke apnī chhat bhī khulī hai dīvāroñ meñ dar haiñ bahut
bārish dhuup havā jo chāhe aa jaa.e āsānī se
sachchā.ī hamdardī yaarī yuuñ ham meñ se chalī ga.ī
jaise ḳhud kirdār ḳhafā ho jaa.eñ kisī kahānī se
chehre par jo kuchh bhī likhā hai vo sab ek haqīqat hai
ā.īna kyā dekh rahe ho tum itnī hairānī se
taqrīreñ detī haiñ dilāse yā nafrat phailātī haiñ
tū maiñ aur tārīḳheñ lekin bantī haiñ qurbānī se
ḳhuun ke rishte ḳhuun meñ Duube ek zamīñ ke TukḌe par
sadiyoñ kā apnā-pan bhūle ham kitnī āsānī se
Top Urdushayar.com