Zafar Sahbai

shab ke gham din ke azabon se alag rakhta hun

Zafar Sahbai

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1946
shab ke ġham din ke azāboñ se alag rakhtā huuñ
saarī tābīroñ ko ḳhvāboñ se alag rakhtā huuñ
jo paḌhā hai use jiinā hī nahīñ hai mumkin
zindagī ko maiñ kitāboñ se alag rakhtā huuñ
us kī taqdīs pe dhabba nahīñ lagne detā
dāman-e-dil ko hisāboñ se alag rakhtā huuñ
ye amal ret ko paanī nahīñ banñe detā
pyaas ko apnī sarāboñ se alag rakhtā huuñ
us ke dar par nahīñ likhtā maiñ hisāb-e-duniyā
dil kī masjid ko ḳharāboñ se alag rakhtā huuñ
Top Urdushayar.com