gul haiñ to aap apnī hī ḳhushbū meñ sochiye
jo kuchh bhī sochnā hai vo urdu meñ sochiye
dil meñ agar nahīñ hai kisī zaḳhm kī numūd
surḳhī kahāñ se aa ga.ī aañsū meñ sochiye
ye mas.ala nahīñ ki jaleñge kahāñ charāġh
kaise havā.eñ ā.eñgī qaabū meñ sochiye
yuuñ sarsarī guzariye na us dasht-e-karb se
vahshat ki iztirāb hai aahū meñ sochiye
kuchh to ḳhabar nikāliye kaise lagā ye rog
kyuuñ Dhal rahā hai aadmī vastū meñ sochiye
kī aap ne jo pursish-e-ahvāl shukriyā
ham kaise hoñge saltanat-e-hū meñ sochiye
ḳhud pūchhtī hai aap se tanhā.ī aap kī
mahtāb kyuuñ hai raat ke pahlū meñ sochiye
vo jis kā qurb aap ko milnā muhāl ho
kyā ho jo baiTh jaa.e vo baazū meñ sochiye