ye kyā tahrīr pāgal likh rahā hai
har ik pyāse ko bādal likh rahā hai
na ro gustāḳh beTe ke amal par
tirā guzrā huā kal likh rahā hai
paḌho har mauj aayat kī tarah hai
vo dariyā par musalsal likh rahā hai
thame paanī ko tabdīlī mubārak
havā kā haath halchal likh rahā hai
tujhe chhūnā nirālā tajraba thā
vo jhūTā hai jo maḳhmal likh rahā hai
banā kar shahr kā naqsha vo bachcha
baḌe harfoñ meñ jañgal likh rahā hai
ḳhudā-e-amn jo kahtā hai ḳhud ko
zamīñ par ḳhud hī maqtal likh rahā hai