Zafar Sahbai

kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai

Zafar Sahbai

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1946
kabhī kabhī koī chehra ye kaam kartā hai
mire badan meñ lahū tez-gām kartā hai
har ek lafz ko māh-e-tamām kartā hai
mirī zabān se jab vo kalām kartā hai
ka.ī dinoñ ke safar se maiñ jab palaTtā huuñ
vo apne puure badan se kalām kartā hai
bahut aziiz haiñ us ko bhī chhuTTiyāñ merī
vo roz koī nayā ehtimām kartā hai
shikāyatoñ kī adā bhī baḌī nirālī hai
vo jab bhī miltā hai jhuk kar salām kartā hai
maiñ mushtahar huuñ sitamgar kī mehrbānī se
vo apne saare sitam mere naam kartā hai
kisī ke haath meñ ḳhanjar kisī ke haath meñ phuul
qalam hai ek magar kitne kaam kartā hai
jab us se miltā huuñ daftar ko bhuul jaatā huuñ
'zafar' vo bātoñ hī bātoñ meñ shaam kartā hai
Top Urdushayar.com