shuhūd-e-dil-zadgāñ manzaroñ meñ rakh aanā
lahū ke daaġh guloñ ke paroñ meñ rakh aanā
ye ḳhānvāda-e-mansūr miT na jaa.e kahīñ
mirī matā-e-junūñ kuchh saroñ meñ rakh aanā
haiñ in meñ band kisī ahd-e-rast-ḳhez ke aks
ye merī āñkheñ ajā.ib-gharoñ meñ rakh aanā
ye raat pichhle pahar āftāb DhūñDegī
charāġh-e-shām jalā kar darūñ meñ rakh aanā
tamām umr ik āñdhī meñ par rakhe 'sālim'
vidā ho to ik āñdhī paroñ meñ rakh aanā