hare patto sunahrī dhuup kī qurbat meñ ḳhush rahnā
magar mumkin nahīñ hai ek sī hālat meñ ḳhush rahnā
magan rahte haiñ ye būḌhe shajar apnī kathāoñ meñ
unheñ aatā hai apne zehn kī jannat meñ ḳhush rahnā
ham insānoñ ko phir jiine kā maqsad hī nahīñ miltā
likhā hotā jo us ne sab kī hī qismat meñ ḳhush rahnā
ye aañsū chaar din ke haiñ ye aañsū suukh jā.eñge
sikhā deñge tumheñ hālāt har sūrat meñ ḳhush rahnā
maiñ apne zaḳhm akasr is liye bhī noch letā huuñ
kahīñ shāmil na ho jaa.e mirī aadat meñ ḳhush rahnā
sukūn-e-dil gañvā baiThoge tum fitrat se laḌne meñ
jo chāho āfiyat apne qad-o-qāmat meñ ḳhush rahnā
pukārā umr ko ḳhushiyoñ ne jab masrūf the behad
samay se siikh lete kaash ham fursat meñ ḳhush rahnā