amīr-e-shahr is ik baat se ḳhafā hai bahut
ki shahar bhar meñ sag-e-dard chīḳhtā hai bahut
har ek zaḳhm se zaḳhmoñ kī koñpleñ phūTīñ
jo baaġh tum ne lagāyā thā ab harā hai bahut
zarā sī narm-ravī se pahuñch ga.e dil tak
tanāv thā to samajhte the fāsla hai bahut
jo dam ghuTe to shikāyat na kījiye sāhab
ki saañs lene ko zahroñ bharī havā hai bahut
charāġh lākhoñ hoñ raushan nazar nahīñ aate
yahāñ to chehra-parastoñ ko ik diyā hai bahut
ye tai hai mujh se kabhī tark haq nahīñ hogā
ki merī ḳhaak meñ ye kīmiyā milā hai bahut
mumāsalat ke havāloñ meñ mat talāsh karo
umūmiyat se hamārī ġhazal judā hai bahut