be-hisī par hissiyat kī dāstāñ likh dījiye
dhuup se ab barf par āb-e-ravāñ likh dījiye
kātib-e-taqdīr Thahre aap ko rokegā kaun
jo bhī ankur sar uThā.e rā.egāñ likh dījiye
aap kī āñkhoñ meñ chubh jā.egī varna raushnī
ham charāġhoñ ke muqaddar meñ dhuāñ likh dījiye
mushtahar ho jā.ūñgā firqa-parastī ke liye
merī peshānī pe aap urdu zabāñ likh dījiye
ham ġharīboñ se ri.āyat kī zarūrat hī nahīñ
sub.heñ dozaḳh haiñ to shāmoñ ko dhuāñ likh dījiye
aap to shāyad qasam hī khā chuke taḳhrīb kī
har jagah dhartī pe ab ātish-fishāñ likh dījiye