ai ham-safar ye rāh-barī kā gumān chhoḌ
kis ne kahā hai tujh se qadam ke nishān chhoḌ
phir dekh zindagī ke maze tajraboñ ke rañg
bāhar qadam nikāl zarā sā.ebān chhoḌ
ab dostī nahīñ na sahī dushmanī sahī
koī to rābte kī kaḌī darmiyān chhoḌ
us kī vafā.eñ sirf havāoñ ke saath haiñ
ye etimād-e-dostī-e-bādbān chhoḌ
talvār kī zabān samajhne lage haiñ log
ab ye mahātmāoñ kā tarz-e-bayān chhoḌ
jo tere sar-parast the kab ke chale ga.e
firqa-parastī tū bhī ye hindostān chhoḌ
baaqī jo bach rahe haiñ vo circus ke sher haiñ
murda huā ye dasht shikārī machān chhoḌ