yahāñ pe DhūñDe se bhī farishte nahīñ mileñge
zamīñ hai sāhab yahāñ to ahl-e-zamīñ mileñge
pareshāñ mat ho ki yaar TeḌhī lakīreñ haiñ ham
kahāñ kā to kuchh patā nahīñ par kahīñ mileñge
kuchh aise ġham haiñ jo dil meñ hargiz nahīñ Thaharte
makān hote hue saḌak par makīñ mileñge
zamīñ pe milne na deñge ham ko zamāne vaale
chalo ki marte haiñ donoñ zer-e-zamīñ mileñge
hamāre dil meñ banī huī haiñ hazāroñ qabreñ
har ek turbat meñ dafn zinda yaqīñ mileñge
rakhā gayā hai hameñ kuchh aise muġhālate meñ
vahāñ mileñge jahāñ pe arsh-o-zamīñ mileñge
hameñ to hūreñ mileñgī ham se banā ke rakkho
tumheñ vahāñ par bhī jā ke keval hamīñ mileñge