Ahmad Azeem

husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae

Ahmad Azeem

Badayun, Uttar pradesh, India

1998
husn-parī ho saath aur be-mausam kī bārish ho jaa.e
chhatrī kaun ḳharīdegā phir jitnī bārish ho jaa.e
aisī pyaas kī shiddat hai ki maiñ ye duā.eñ kartā huuñ
jitne samundar haiñ duniyā meñ sab kī bārish ho jaa.e
merī ġhazleñ us ke saath bitā.e vaqt kā hāsil haiñ
vaisī fasleñ ug aatī haiñ jaisī bārish ho jaa.e
chhoTe chhoTe tālāboñ se paanī chhīnā jaatā hai
tum to bas ye kah dete ho thoḌī bārish ho jaa.e
āñdhī aa.e bijlī kaḌke kaalī ghaTā.eñ chhāne lageñ
majbūran vo ruke mire ghar itnī bārish ho jaa.e
tañg aayā huuñ maiñ is hijr-o-vasl kī būñdā-bāndī se
yā to sūkhā paḌ jaa.e yā Dhañg kī bārish ho jaa.e
Top Urdushayar.com