bichhaḌ ke donoñ ke zehnoñ pe bojh paḌtā hai
raheñ jo saath to āñkhoñ pe bojh paḌtā hai
phaloñ ke hone se shāḳheñ faqat lachaktī haiñ
phaloñ ke girne se shāḳhoñ pe bojh paḌtā hai
tumhāre zikr kī aadat huī hai aisī inheñ
kuchh aur boleñ to hoñToñ pe bojh paḌtā hai
bas ek chehre ko sapne meñ dekhne ke liye
tamām umr kī nīñdoñ pe bojh paḌtā hai
'azīm' duur ke rishtoñ ko duur rakkhā kar
vagarna paas ke rishtoñ pe bojh paḌtā hai