Ahmad Azeem

chhoTi chhoTi baaton par tum KHub tamasha karti ho

Ahmad Azeem

Badayun, Uttar pradesh, India

1998
chhoTī chhoTī bātoñ par tum ḳhuub tamāshā kartī ho
tum ko dekh ke kaun kahegā ik munsif kī beTī ho
ye bhī ik kāran thā tum se apne raaz chhupāne kā
chāhe jitnā samjhāo tum duniyā se kah detī ho
vaqt ke rahte bag meñ tum ne apne kapḌe rakkhe na.iiñ
gaaḌī chhūT rahī hai ab kyuuñ dekh ke mujh ko rotī ho
duniyā kyā kyā soch rahī hai ham donoñ ke baare meñ
maiñ kis kis ko batlā.ūñ tum jaldī se so jaatī ho
Tokā-Tākī bas ik had tak Thiik natīja detī hai
bachcha bigaḌtā hai gar us pe be-matlab kī saḳhtī ho
Top Urdushayar.com