Khurshid Ahmad Jami

mear-e-suKHan hun na koi azmat-e-fan hun

Khurshid Ahmad Jami

Hyderabad, Telangana, India

1915-1970
me.ār-e-suḳhan huuñ na koī azmat-e-fan huuñ
baḌhte hue pathrāv meñ shīshe kā badan huuñ
is tarah mujhe dekh rahā hai koī jaise
maiñ duur ke jalte hue ḳhvāboñ kī thakan huuñ
sau baar añdheroñ ne jise qatl kiyā hai
taḳhlīq ke māthe kī vahī ek kiran huuñ
āvāz-e-anal-haq kī tarah saath hī tere
ik umr se ai silsila-e-dār-o-rasan huuñ
zaḳhmoñ ke jharoke meñ koī sham.a jalā kar
kahtā hai maiñ kuchh aur nahīñ dard-e-vatan huuñ
haiñ jis ke liye aaj na.e lafz-o-ma.ānī
tārīḳh kā vo nashsha-e-sahbā-e-kuhan huuñ
sahrā kā sulagtā huā ehsās huuñ 'jāmī'
zarroñ kī tarah dahr meñ bikhrā huā tan huuñ
Top Urdushayar.com