ik umar saath saath mire zindagī rahī
lekin kisī baḳhīl kī daulat banī rahī
meyār-e-fan pe vaqt kā jaadū na chal sakā
duniyā qarīb ho ke bahut duur hī rahī
mahkī huī sahar se mirā vāsta rahā
jaltī huī shaboñ se mirī dostī rahī
tanhā.iyoñ ke dasht meñ kuchh phuul se khile
raqsāñ shab-e-firāq koī chāndnī rahī