Khurshid Ahmad Jami

jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin

Khurshid Ahmad Jami

Hyderabad, Telangana, India

1915-1970
jāgte ġham bhī nahīñ jhūmte saa.e bhī nahīñ
saath apne bhī nahīñ aur parā.e bhī nahīñ
sīna-e-sāz meñ vo giit sulag uTThe haiñ
pyaar ban kar jo lab-e-sāz pe aa.e bhī nahīñ
zindagānī to ḳharīdār-e-sitam hai lekin
tum ne bāzār salīboñ ke sajā.e bhī nahīñ
kuchh irāde mire gītoñ kī thakan haiñ ab bhī
kuchh fasāne tirī ā.ankhoñ ne sunā.e bhī nahīñ
dhuup sochoñ ke dar-o-bām tak aa pahuñchī hai
aur aaise meñ tirī yaad ke saa.e bhī nahīñ
ārzuoñ ke umañgoñ ke mazāroñ pe kahīñ
ġham-e-ayyām ne do phuul chaḌhā.e bhī nahīñ
vaqt kī raah meñ anjān nazar aate haiñ
varna ye log kuchh itne to parā.e bhī nahīñ
duur ke des kī pariyoñ kā bharosa kyā thā
ham ne ḳhvāboñ ke na.e diip jalā.e bhī nahīñ
zindagānī ke hasīñ shahr meñ aa kar 'jāmī'
zindagānī se kahīñ haath milā.e bhī nahīñ
Top Urdushayar.com