har ek dard ko harf-e-ġhazal banā dūñgā
chalā to huuñ ki tirī rahguzar dikhā dūñgā
ġham-e-hayāt mire saath saath hī rahnā
payambarī se tirā silsila milā dūñgā
agar vahāñ bhī tirī āhaTeñ na sun pā.ūñ
to aarzū kī hasīñ bastiyāñ jalā dūñgā
na intizār na aaheñ na bhīgtī rāteñ
ḳhabar na thī ki tujhe is tarah bhulā dūñgā
kuchh aur tīrgi-e-shām-e-ġham sahī 'jāmī'
kuchh aur apne charāġhoñ kī lau baḌhā dūñgā