vafā ne jhuum ke jab tere giit gaa.e haiñ
qadam ufuq pe andheroñ ke laḌkhaḌā.e haiñ
tire qarīb pahuñch kar bhī kam nahīñ hote
ġham-e-hayāt ne jo fāsle baḌhā.e haiñ
bahut tavīl sahī rāh-e-justujū lekin
bahut hasīn tire gesuoñ ke saa.e haiñ
tirī nigāh mudāvā na ban sakī jin kā
tirī talāsh meñ aise bhī zaḳhm khaa.e haiñ
paḌā hai aks jo ruḳhsār-e-shola-e-mai kā
to ā.īne tirī yādoñ ke jagmagā.e haiñ
musāfirān-e-shab-e-ġham kī raah meñ 'jāmī'
na.e charāġh mirī fikr ne jalā.e haiñ