ai intizār-e-sub.h-e-tamannā ye kyā huā
aatā hai ab ḳhayāl bhī terā thakā huā
pahchān bhī sakī na mirī zindagī mujhe
itnī ravā-ravī meñ kahīñ sāmnā huā
chamkā sake na tīra-nasīboñ kī raat ko
hamrāz haiñ tire mah-o-anjum to kyā huā
mujh se kahīñ milā ġham-e-daurāñ to is tarah
jaise mirī tarah se hai vo bhī thakā huā
'jāmī' fazā-e-mausam-e-gul yuuñ udaas hai
jaise kahīñ qarīb koī hādsa huā