Khurshid Ahmad Jami

kyun chand ko samjhe koi paigham kisi ka

Khurshid Ahmad Jami

Hyderabad, Telangana, India

1915-1970
kyuuñ chāñd ko samjhe koī paiġhām kisī kā
sahrā kī kaḌī dhuup bhī hai naam kisī kā
TuuTī huī ik qabr ke katbe pe likhā thā
ye chain kisī kā hai ye ārām kisī kā
ḳhvāboñ ke darīche meñ ho jaise koī chehra
yuuñ dard nikhartā hai sar-e-shām kisī kā
ġhazloñ pe bhī hotā hai kisī shakl kā dhokā
tāroñ ko bhī detā huuñ kabhī naam kisī kā
tārīḳh ke phaile hue safhāt pe jaise
zaḳhmoñ kī numā.ish hai faqat kaam kisī kā
hāthoñ kī lakīreñ haiñ ye vīrān sī rāheñ
sūkhe hue patte haiñ ye anjām kisī kā
'jāmī' jo utar jaa.e añdheroñ ke badan meñ
vo sho.ala-e-taḳhlīq hai in.aam kisī kā
Top Urdushayar.com