sunsān rāstoñ pe tirī yaad ne kahā
hālāt kā fareb bhī kitnā hasīn thā
ab ke bhī dard-mañd bahāroñ ne jā-ba-jā
phūloñ kī taḳhtiyoñ pe tirā naam likh diyā
raat ek ajnabī kī tarah ghūmtī rahī
din ek falsafī kī tarah sochtā rahā
har tīrgī ne mujh se ujāloñ kī baat kī
har zahar ittifāq se tiryāk bin gayā
chamkā rahī hai ġham ke añdheroñ ko duur tak
kirnoñ kī sīḌhiyoñ se utartī huī sadā
yuuñ dal ke aas paas hai ḳhvāboñ kī raushnī
jaise kisī galī meñ darīcha ho niim vā
'jāmī' jo zindagī se ziyāda aziiz the
in ko bhī zindagī kī tarah bhūlnā paḌā