sahar ke saath chale raushnī ke saath chale
tamām umr kisī ajnabī ke saath chale
hamīñ ko muḌ ke na dekhā hamīñ se kuchh na kahā
is ehtiyāt se ham zindagī ke saath chale
tumhāre shahr meñ anjān sā musāfir thā
tumhāre shahr meñ jis aadmī ke saath chale
ġhamoñ ne pyaar se jis vaqt haath phailā.e
to sab ko chhoḌ ke ham kis ḳhushī ke saath chale