nahīñ ma.alūm jiine kā hunar kaisā rakhā hai
hameñ hālāt ne jaise rakhā zinda rakhā hai
mirī pāgal tabī.at kā hai koī pair na sar
nahīñ dariyā milā to aañkh meñ sahrā rakhā hai
tumheñ jis samt se aanā huā be-ḳhauf aanā
tumhāre vāste chāroñ taraf rasta rakhā hai
mire jaisī udāsī shahr meñ kis ko milī hai
mirā jaisā kisī ne kab bujhā chehra rakhā hai
vo jitne bhes badle maiñ use pahchān lūñgī
ki maiñ ne aañkh meñ us shaḳhs kā naqsha rakhā hai
tumhāre vasl kī iftārī aa.e yā na aa.e
magar maiñ ne tumhāre hijr kā roza rakhā hai
kisī ke hijr meñ bhūlī huuñ baaqī rañg saare
mirī almārī meñ har suiT ab kaalā rakhā hai