in havāoñ kī na lag jaa.e nazar
koñpleñ niklī haiñ dil kī shāḳh par
ab ke fasl-e-ġham nahīñ laanā idhar
aane vaale mausamoñ se baat kar
merī ik ik saañs girvī hai tirī
ab tujhe maiñ kyā kahūñ ai be-ḳhabar
kaañp uThtā hai ye piñjra soch kar
jab nikal ā.eñge mere bāl-o-par
chhoḌ detā vo adhūrā hī safar
dekh letā jo mujhe bas ik nazar