sard rāhoñ meñ bhaTaktī huī shāmoñ kī tarah
maiñ tire saath chalī aa.ī huuñ rastoñ kī tarah
bas yahī dekh ke tajdīd-e-mohabbat kar lī
ro paḌā thā vo mire sāmne bachchoñ kī tarah
ghar udāsī ne paḌāv hai kiyā muddat se
ḳhvāb kamroñ meñ sajā rakkhe haiñ katboñ kī tarah
bāġh-e-hijrāñ kī bahāroñ ke bhī sub.hān-allāh
zaḳhm phūloñ kī tarah phuul haiñ zaḳhmoñ kī tarah
likh rahī huuñ tire māthe pe koī 'mīr' kā sher
paḌh rahī huuñ tirī āñkhoñ ko sahīfoñ kī tarah
vo mujhe chhoḌ gayā hijr musalle par raat
maiñ adā kartī rahī jis ko namāzoñ kī tarah
maut se rishta mirā maañ kī tarah hai 'sādī'
zindagī lagtī hai mujh ko sagī bahnoñ kī tarah