Sadiya Safdar Saadi

durun-e-chashm har ek KHwab mar raha hai bas

Sadiya Safdar Saadi

Safdarabad, Punjab, Pakistan

1986

durūn-e-chashm har ik ḳhvāb mar rahā hai bas

hamāre paas yahī āj-kal bachā hai bas

tirī talab thī zamāna tujhe zamāna milā

mirī talab thī ḳhudā so mirā ḳhudā hai bas

udaas hai na kisī se huā hai jhagḌā koī

baḌe dinoñ se yūñhī dil dukhā huā hai bas

jahāñ pe chāho mire haath ko jhaTak denā

mujhe pata hai ta.alluq ye aam hai bas

khaḌī huī huuñ kināre chanāb ke sar-e-shām

bhañvar bhañvar mirī āñkhoñ meñ ghūmtā hai bas

kiyā jo ġhaur to har-samt nāchtī thī aag

mujhe lagā thā mirā ghar jal rahā hai bas

hamāre paas nahīñ 'sa.adiya' koī rastā

hamāre paas yahī ek rāstā hai bas

Top Urdushayar.com