aañkh merī ulaT ga.ī hogī
ḳhvāb kī umr ghaT ga.ī hogī
maañg se ḳhuun bah rahā hogā
ḳhaak se zulf aT ga.ī hogī
ruuh apne safar pe niklī jab
tan se miTTī chimaT ga.ī hogī
āḳhirī baat darmiyāñ hī thī
aur phir kaal kaT ga.ī hogī
yā ziyāda qarīb thā vo shaḳhs
yā zamīñ hī simaT ga.ī hogī
hijr kī shab ko jab koī na milā
mujh se aa kar lipaT ga.ī hogī
chal paḌī sub.h kī taraf jab maiñ
raah se raat haT ga.ī hogī
tum mirā chehra dekhne aanā
raushnī jab palaT ga.ī hogī
dukh agar the mire tavīl bahut
to ḳhushī do minute ga.ī hogī
jab koī qahqaha nahīñ hogā
'sa.adiya' dukh meñ baT ga.ī hogī