Sultan Sukoon

hua nahin hai abhi munharif zaban se wo

Sultan Sukoon

1932
huā nahīñ hai abhī munharif zabān se vo
sitāre toḌ ke lā.egā āsmān se vo
na ham ko paar utārā na aap hī utrā
lipaT ke baiThā hai patvār o bādbān se vo
hamārī ḳhair hai aadī haiñ dhuup sahne ke ham
huā hai aap bhī mahrūm sā.ebān se vo
tamām bazm pe chhāyā huā hai sannāTā
uThā hai shaḳhs koī apne darmiyān se vo
abhī to rif.ateñ kyā kyā thiiñ muntazir us kī
abhī palaT ke bhī aayā na thā uḌaan se vo
hazār mailā kiyā dil ko us kī jānib se
kisī bhī taur utartā nahīñ hai dhyān se vo
ab us kī yaad ab us kā malāl kaisā hai
nikal gayā jo pare sarhad-e-gumān se vo
vo jis 'sukūn' kā ab aap pūchhne aa.e
chalā gayā hai kahīñ uTh ke is makān se vo
Top Urdushayar.com