so us ko chhoḌ diyā us ne jab vafā nahīñ kī
palaT ke ham ne koī us se iltijā nahīñ kī
jigar figār rahe qais se sivā lekin
ga.e na dasht ko aur chaak bhī qabā nahīñ kī
ḳhudā ko hāzir-o-nāzir samajh ke ye kah de
ki ham ne tujh se mohabbat meñ intihā nahīñ kī
magar tū phir bhī gila-mand hai to hotā rahe
ki ham ne tujh se vafā kī nahīñ to jā nahīñ kī
zarūrateñ to ka.ī tarah kī rahīñ darpesh
amīr-e-shahr ke dar par kabhī sadā nahīñ kī
ḳhafā kiyā hai ḳhudā ko to bār-hā lekin
ḳhudā kā shukr ḳhafā ḳhilqat-e-ḳhudā nahīñ kī
rahī hai dil hī meñ rūdād apne dukh kī sukūn
kahīñ kahā nahīñ kī aur kahīñ sunā nahīñ kī