Sultan Sukoon

ThanDi hai ya garm hawa hai

Sultan Sukoon

1932
ThanDī hai yā garm havā hai
us ko kyā is kī parvā hai
kitnī gahrī ḳhāmoshī hai
kitnā gahrā sannāTā hai
hai darpesh masāfat kaisī
ek zamāna haañp rahā hai
jañgal to tai kar aa.e haiñ
aage ik sahrā paḌtā hai
agle pal kiyā jaane kyā ho
ab to yahī dhaḌkā rahtā hai
koī nahīñ hai saath tumhāre
apne hī qadmoñ kī sadā hai
kaun hai vo ḳhush-qismat dekheñ
jis ko sabr kā ajr milā hai
yaar 'sukūn' shikāyat kaisī
terā apnā kiyā dharā hai
Top Urdushayar.com