manzar hai abhī duur zarā hadd-e-nazar se
sauġhāt-e-safar aur hai asbāb-e-safar se
tum mere ta.āqub kā tasavvur bhī na karnā
pūchho mirī manzil mire TuuTe hue par se
maiñ shar kī sharārat se to hoshyār huuñ lekin
allāh bachā.e to bachūñ ḳhair ke shar se
bārish ne mirī TuuTī huī chhat nahīñ dekhī
āñgan meñ lagī aag to bādal nahīñ barse
patthar na banā de mujhe mausam kī ye saḳhtī
mar jaa.eñ mire ḳhvāb na ta.abīr ke Dar se
dhul jaatā hai sab dard mirī ruuh kā is meñ
rahmat jo barastī hai mire dīda-e-tar se
tanhā.ī-pasandī mirī fitrat kā bhī juz thā
mausam bhī ye kahtā hai nikalnā nahīñ ghar se
insān koī ho to maiñ ta.avīz banā luuñ
duniyā mirī bad-tar huī bhūtoñ ke khañDar se
'pinhāñ' mirī ġhazloñ ko bahut naaz hai us par
tāsīr kī daulat jo milī dast-e-hunar se