Pinhaan

dil ko ye samjhana hai

Pinhaan

Lahore, Punjab, Pakistan

1957
dil ko ye samjhānā hai
duniyā pāgal-ḳhāna hai
vo kaisā begāna hai
dil jis kā dīvāna hai
fitrat ke begār sabhī
sham.a hai parvāna hai
jīvan dukh-sukh sukh-dukh sab
uljhā tānā-bānā hai
hiire motī ro lenā
hañsne kā harjānā hai
sapnā hai ye jīvan aur
duniyā ik afsāna hai
hāsil kā bhī hāsil kyā
āḳhir to mar jaanā hai
manzil vaise duur nahīñ
rasta kuchh an-jānā hai
maut ke qadmoñ meñ rakkhā
hastī ik nazrāna hai
'pinhāñ' ab to har ik ko
shā.ir hī kahlānā hai
Top Urdushayar.com