zindagī sach kī himāyat nahīñ karne detī
aisī koī bhī ibādat nahīñ karne detī
maslahat aql se kahtī hai ki ik had meñ raho
aur dil ko bhī sharārat nahīñ karne detī
uljhī rahtī hai nazar se koī duzdīda-nazar
qalb-o-jāñ kī jo hifāzat nahīñ karne detī
ab to hāl-e-dil-e-bīmār ḳhudā hī jaane
hālat-e-zār ayādat nahīñ karne detī
ham judā.ī meñ to bezār nahīñ the aise
kyā mohabbat ye rifāqat nahīñ karne detī
kaam kuchh karne nahīñ dete riyāsat ko bhī ham
aur kuchh ham ko riyāsat nahīñ karne detī
terī jannat ko tarastī huī terī duniyā
terī duniyā pe qanā.at nahīñ karne detī
tishnagī mohr-ba-lab tishna-labī hai ab to
chashm-e-sāqī kī shikāyat nahīñ karne detī
sham-e-jāñ bhuul ga.ī kaise bhaḌak uThnā thā
shām-e-ġham sub.h-e-qayāmat nahīñ karne detī
irtiqā kī to himāyat meñ ġhazal hai 'pinhāñ'
bas rivāyat se baġhāvat nahīñ karne detī