sāregāmā pā dhānī
sur meñ le sāñseñ jaanī
nādānī sī nādānī
man kartā man-mānī
duniyā jānī-pahchānī
hastī apnī anjānī
ā.īne meñ ā.īna
hairānī sī hairānī
āñkhoñ se mat chhalakānā
ujḌe dil kī vīrānī
bādal pī ke aayā thā
purvā.ī bhī mastānī
ḳhud ko haare to jiite
raajā ke man ko raanī
ghar meñ bhī bas yūñhī huuñ
apnoñ meñ ik begānī
jiinā hai mar jaane ko
mushkil sī ik āsānī
ulTe mujh par hañstī hai
duniyā pāgal dīvānī
gumnāmoñ sī rahtī hai
'pinhāñ' jānī-pahchānī