ai dil tirī barbādī ke āsār bahut haiñ
shahkār ke bahrūp meñ fankār bahut haiñ
nā-vāqif-e-ādāb-e-mohabbat ko sazā kyā
ai husn-e-azal tere ḳhatā-kār bahut haiñ
yādoñ kī bahāreñ bhī haiñ vīrāna-e-dil meñ
is dasht-e-bayābāñ meñ ye gulzār bahut haiñ
ye vaqt kī sāzish hai ki sūraj kī sharārat
saa.e mirī dīvār ke us paar bahut haiñ
dil ḳhud jo nahīñ rakhte haiñ vo lete bhī nahīñ dil
ḳhuddār ziyāda haiñ jo nādār bahut haiñ
jiine ke liye dil meñ jagah chāhiye varna
marnā hai to phir bas dar-o-dīvār bahut haiñ
bas ḳhair kī ho ḳhair duā aao ye māñgeñ
lagtā hai ki ab shar ke taraf-dār bahut haiñ
ḳhud se bhī to milne kī ijāzat nahīñ dete
hastī ke haqā.eq jo pur-asrār bahut haiñ
jiine bhī nahīñ dete haiñ marne bhī na deñge
kuchh mere savālāt jo be-kār bahut haiñ
dīvān pe dīvān bhī kam hote haiñ 'pinhāñ'
ash.ār jo dil chhū leñ vo do chaar bahut haiñ