rasīle ḳhvāb saare kho chukī huuñ
bahut rūkhī haqīqat ho chukī huuñ
jagā.e koī sūraj sub.h-e-nau kā
purānī raat sadiyoñ so chukī huuñ
ġhamoñ ko hañs ke sahnā aa gayā hai
maiñ apnī har ḳhushī ko ro chukī huuñ
maiñ apne dil kī banjar sar-zamīñ meñ
ḳhushī ke biij kitne bo chukī huuñ
bahut mailī thī chādar zindagī kī
use ashkoñ se apne dho chukī huuñ
chalā hai saath tanhā.ī kā jañgal
tire hamrāh jab se ho chukī huuñ
amānat ye bhī lauTā.ī hai us ko
badan kā bojh barsoñ Dho chukī huuñ
rahā kahne ko ab kyā aur 'pinhāñ'
ġhazal se haal sab to kah chukī huuñ