tā-abad hāsil-e-azal huuñ maiñ
yā faqat luqma-e-ajal huuñ maiñ
ḳhud ko bhī ḳhud se māvarā chāhūñ
apnī hastī meñ kuchh ḳhalal huuñ maiñ
merā har mas.ala usī kā hai
us ke har mas.ale kā hal huuñ maiñ
us kī āñkhoñ kā ā.īna-ḳhāna
jhiil meñ jaise ik kañval huuñ maiñ
gungunātī rahī jise 'pinhā'
mujh ko lagtā hai vo ġhazal huuñ maiñ