dil kā har ek daaġh charāġhāñ se kam nahīñ
merī ḳhizāñ bhī fasl-e-bahārāñ se kam nahīñ
is meñ hai ḳhūn-e-dil kā samundar chhupā huā
āñkhoñ meñ ek ashk bhī tūfāñ se kam nahīñ
yādoñ meñ haiñ gulāb se chehre saje hue
shahr-e-ḳhayāl kūcha-e-jānāñ se kam nahīñ
hai ḳhaak par nashist falak par uḌaan hai
merī zamīñ bhī taḳht-e-sulaimāñ se kam nahīñ
jiine kā hausla bhī mayassar na ho jise
us kī sahar bhī shām-e-ġharībāñ se kam nahīñ
nikle kisī kī yaad meñ aañsū jo aañkh se
mere liye vo la.al-e-badaḳhshāñ se kam nahīñ
āñkhoñ ke sāmne haiñ manāzir ajiib se
ye jāgnā bhī ḳhvāb-e-pareshāñ se kam nahīñ
'shāhid' firāq-e-yād meñ ye dil kā haal hai
vīrāniyoñ meñ dasht-o-bayābāñ se kam nahīñ