pahle to shahar bhar meñ añdherā kiyā gayā
phir ham se raushnī kā taqāzā kiyā gayā
pahle to sāzishoñ se hameñ dī ga.ī shikast
phir ḳhuub is shikast kā charchā kiyā gayā
ik shaḳhs ke liye mirī bastī kā rāsta
kachche makāñ girā ke kushāda kiyā gayā
pahle to mujh ko raah batā.ī ga.ī ġhalat
phir merī gumrahī kā tamāshā kiyā gayā
duniyā na thī jo pyaar ke qābil to kis liye
ham ko asīr-e-ḳhvāhish-e-duniyā kiyā gayā
is gulshan-e-hayāt meñ rañg-e-ḳhizāñ ke saath
ik mausam-e-bahār bhī paidā kiyā gayā
āñkhoñ ko āñsuoñ ke javāhar diye ga.e
dil ke sipurd ġham kā ḳhazāna kiyā gayā
duniyā hamāre qatl ko kahtī hai ḳhud-kushī
marne ke ba.ad bhī hameñ rusvā kiyā gayā
'shāhid' likhā gayā thā hamāre hī ḳhuun se
tasnīf jab vafā kā sahīfa kiyā gayā