be-irāda kūcha-e-qātil meñ jaanā paḌ gayā
phir hameñ apnā muqaddar āzmānā paḌ gayā
kyā karoge jab kabhī shahr-e-tamannā meñ tumheñ
ham se be-ābād logoñ ko basānā paḌ gayā
apne bigḌe ḳhāl-o-ḳhad ko aa.ine meñ dekh kar
aa.ina ik ā.ina-gar ko dikhānā paḌ gayā
dekh kar us kā ravayya ḳhud bujhāyā thā jise
vo charāġh-e-ārzū phir se jalānā paḌ gayā
hiddat-e-jazbāt se jalne lagā thā tan-badan
phir thapak kar in sharāroñ ko sulānā paḌ gayā
kyā kaheñ ham mausamoñ ke devtā ko kis liye
dasht-o-sahrā meñ bagūloñ ko sajānā paḌ gayā
dekhnā ahl-e-chaman 'shāhid' bulā.eñge hameñ
jab chaman ko bād-e-sar-sar se bachānā paḌ gayā