tabdīliyoñ kī raah pe chalne to de mujhe
ḳhud ko badal rahā huuñ badalne to de mujhe
bachcha nahīñ huuñ maiñ jo bhaTak jā.ūñgā kahīñ
tanhā rah-e-hayāt meñ chalne to de mujhe
jaltā huā charāġh agar hai mirā vajūd
phir apne dil ke taaq meñ jalne to de mujhe
gar merī dastaras meñ nahīñ āsmāñ kā chāñd
mahtāb-sūratoñ se bahalne to de mujhe
ban jā.ūñgā kiran tirī sub.h-e-jamāl kī
tū apne rañg ruup meñ Dhalne to de mujhe
bār-e-ġham-e-hayāt uThā lūñgā aur bhī
ai inqilāb-e-dahr sambhalne to de mujhe
dam toḌ deñgī ḳhud hī purānī rivāyateñ
ā.īn-e-mulk-e-shauq badalne to de mujhe
mil jā.egā mujhe bhī ujāloñ kā rāsta
zindān-e-tīrgī se nikalne to de mujhe