Hafeez Shahid

wo humse ho gaya hai be-KHabar kuchh

Hafeez Shahid

vo ham se ho gayā hai be-ḳhabar kuchh
badalte mausamoñ kā hai asar kuchh
kahīñ saa.e meñ ruk kar kyā kareñge
chalo ab tez baaqī hai safar kuchh
havā-e-tund kā ye kaam dekho
na chhoḌā shāḳh par baaqī samar kuchh
bhaTakte phir rahe haiñ rāstoñ meñ
basārat se tahī ahl-e-nazar kuchh
agarche shahr to apnā hai lekin
parā.e se haiñ kyuuñ dīvār-o-dar kuchh
abhī dil meñ uḌānoñ kī hai ḳhvāhish
salāmat haiñ hamāre bāl-o-par kuchh
abhī 'shāhid' luTāo ġham kī daulat
abhī haiñ aañkh meñ la.al-o-gohar kuchh
Top Urdushayar.com